_MERAAJ~E~MUSTAFAﷺ AUR AQAID~E~AHLE SUNNAT_*

*_MERAAJ~E~MUSTAFAﷺ AUR AQAID~E~AHLE SUNNAT_*
•┈┈┈┈┈┈••✦✿✦✦✿✦•┈┈┈┈┈┈┈•
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
Yالصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ_*
           *_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
               *_•🎼 PART- [ 07 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂



*_Sidratul Muntaha Ka Safar.._*

_Satwe Aasman pe *Hazrat Khalilullah عليه اسلام* se Mulakat k Baad Safar Aage Rawa Huwa. *Huzoor Nabi e Karim ﷺ* SIDRATUL MUNTAHA k pass Tashreef Laaye. Ye Ek BAIRI ka PED (tree) Hai jiski Jadd (root) Chatte {6th} Aasman Par aur Shakein (Branches) Satwe {7th} Aasman k  upar hai. iske FAL (Fruits) Makam e Hazr k Matko Ki Tarah Hai , Patthe Hathi K Kaano Ki Tarah Hai._

_*Hazrat Jibril عليه اسلام* Ne Arz Kiya YE SIDRATUL MUNTAHA HAI. *Pyare Aaqa ﷺ* Ne Yaha 4 Nahren Mulahiza Farmayi jo SIDRATUL MUNTAHA ki Jadd (Root) Se Nikli Thi Inme se 02 Jaahir Aur 02 Khufiya Thi._

_Aap *Nabi E Karim ﷺ* Ne Arz Kiya Aye Jibril ye Nehre’n Kaisi Hai. Farmaya k inme se jo 02 Khufiya Nehre Hai Wo Jannat Ki Hai aur Jo Do Jahir Hai wo Jahiri Nahrein "NEEL" Aur "Furat" Hai._

*_(📚Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887,)_*

*_(📚Sahi Muslim, Vol 01, Kitabul Imaan, Baab : Al Isra, Hadees : 164)_*

_*Imam Mullah Ali Qari Al Hanfi Rahmatullahi Aleh* Ne yaha Jannati NEHRO ke muttalik likha Hai_

_Ye Jannati Nahren Kausar Aur Salsbeel Hai ya Kausar aur Nahre Rehmat Hai_

*_(📚Miratul Manajih Shara E Mishkatul Masabih, Meraj Ka Bayan, Fasle Awwal, 8/144)_*

_Sidratul Muntaha ye Wo Makam Tha Jiske Aage Hazrat Roohul Ameen Jibril e Ameen  Jo Tamam Malaika Farishto ke Sardar Hai Wo  Bhi Nahi jaate chunache *Meraj Un Nabi ﷺ* ki Mubarak Raat me Sidratul Muntaha ke Aage Jaane Se *ROOHUL AMIN JIBRIL عليه اسلام* Bhi jaane se Mazrat Khwah hue *Allama Ismail Haqqi Apni Tafseer ul Quran* me likhte Hai_

_*Meraj Un Nabi ﷺ* ki Raat *Hazrat Jibril E Ameen* Sidratul Muntaha Me Ruk Gaye Aur Farmaya Aye *ALLAH Ke NABI ﷺ* Ab Iske Aage Mai Ek Ungli ke barabar Bhi Aage Badhunga to Allah ke Noor Se Mai Jal Jaunga_


*_🔄 TO BE CONTINUE INSHA ALLAH🔜🔜💞_*

Post a Comment

0 Comments