NAMAAZ QAZA E UMRI KA TARIKA

NAMAAZ QAZA E UMRI



Agar Zindagi Mai Bahot Sari Qaza Namaaze Ho Toh Nawafil Ki Jagah Qaza Namaaze Padhe Aur Taakhir Se Adaa Karne Ke Liye Apne Rab Se Maafi
Maange,

NAMAAZ QAZA E UMRI

Agar Zindagi Mai Bahot Sari Qaza Namaaze Ho Toh Nawafil Ki Jagah Qaza Namaaze Padhe Aur Taakhir Se Adaa Karne Ke Liye Apne Rab Se Maafi
Maange,

Aala Hazrat Azimul Barkat Imam Ahmed
Raza Fazile Bareilvi Radiyallahu T’aala Anhu
Irshaad Farmate Hain Qaza Har Roz Ki Namaaz
Faqat 20 Rakaton Ki Hoti Hai Joh Farz Hain,

2 Fajr ki,
4 Zohar Ki,
4 Asr Ki,
3 Magrib ,
4 Isha,
3 Vitr,

Agar Waqte Buloog Na Maloom Ho To Iske Liye Mard 12 Baras
Aur Aurat 9 Baras Ki Umr Se Namaaz Ka Aisa
Hisaab Lagaaye k TakhMeena Mein Baaqi Na Reh
Jaaye,

Zyaada Ho Jaaye To Harz Nahin Aur Wo Sab
Baqadre Taaqat Rafta Rafta Jald Adaa Karein
Kaaheeli Na Karein,

Jab Tak Farz Zimme Rehta Hai
Koi Nafl Qubool Nahin Kiya Jaata,

Niyyat Unn
Namaazon Ki Iss Tarah Ho Maslan 100 Baar Ki
Fajr Ki Qaza Hai To Har Baar Yun Kahe Ki Sab Se
Pehli Joh Fajr Mujhse Qaza Hui Har Dafa Yehi
Kahe Yaani 1 Adaa Huyi Toh Baakiyon Mein Joh
Sabse Pehli Hai Isi Tarah Zohar Wagairah Har Namaaz Mein Niyyat Karein,

Jis par Bahut si
Namaaze Qaza Ho Uske Liye Takhfeef Ki Surat Ye Hai ke

1) Farz Ki Teesri Chouthi Rakaaton Mein
Surah-e-Fateehah Ki Jagah 3 Baar Subhanallah Kehkar Rukoo Mein Jaaye,

2) Nez Tasbeehaate Rukoo Aur Sujood Mein Sirf 1 Baar
Subhana Rabbiyal Azeem Aur Subhana Rabbiyal
A’ala Padhlena kaafi Hai, (Yaad Rahe Ye Tasbeehaat Rukoo Mein Jaane Ke Baad aur Uthne
Se Pehle Adaa Karen),

3) Tashahhud Ke Baad Dono
Durood Sharif Aur Dua Ke Bajaaye ALLA HUMMA
SALE ALA SAYYEDINA MUHAMMADEU WA AALIHI
Keh Kar Salaam Pher De,

4) Vitr Mein Bajaaye Qunoot Ke 3 Baar ALLAHUMMAGFIR LANA Padhna Kaafi
Hai,

Tuloo, Gurub Wa Nisfunnahar Ke Alaawa Qaza
Namaaze Har Waqt Adaa Ki Ja Sakti Hai......

(#Bahar_e_Shariat)

Post a Comment

0 Comments