The story of Hazrat isa alaihissalam

Hazrat isa alaihissalam” Murdo ko Zinda Karna :-

Quraane Majeed me he ki
“Aur Mei Murde Jilata hu ALLAH ke Hukm se”
(Surah Aale Imraan, Aayat-49)


Hazrat Isaa Alayhis Salaam ALLAH TA’ALA ke Hukm se Murdo ko Zinda Farmaate the, ALLAH TA’ALA se Duaa Farmaate Aur “یا حی یا قیوم”(Ya Hayyo Ya Qayyum) Padhte, Murda Zinda ho Jata,
(Subhan Allah…)
Ek Riwaayat me Bayaan he ki Aap Alayhis Salaam ne Char(4) Shaksho ko Zinda kiya,
1) Aa’zar , 2) Budhiya ka Beita,
3) Aa’shar ki Beiti, 4) Saam Bin Nooh,
»» 1) Aa’zar :-

Aap Alayhis Salaam ka Dost ‘Aa’zar’ Jab Fout(Inteqaal) ho gaya To Uski Bahen ne Aap Alayhis Salaam ki Taraf Peigaam Bheija ki Aap ka Dost Aa’zar Fout ho gaya, Aa’zar ke Ghar Aur Aap Alayhis Salaam Jaha Tashreef Farma the Uske Darmiyaan 3 Din ki Masaafat(Faasla) thi, Aap Aur Aapke Kuchh Sathi Jab Waha Tashreef Laaye to Uski Bahen ko kaha Mujhe Uski Qabr par le Jaao, Aap Alayhis Salaam ne Qabr par Aakar ALLAH TA’ALA se Duaa ki to ALLAH TA’ALA ne Use Zinda kar diya, Woh Isi Tarah Kuchh Zamaana Zinda raha Yaha tak ki Zinda hone ke Baad Uski Aulaad bhi hui,
»» Budhiya ka Beita :-
Isi Tarah Budhiya ka Beita Fout ho gaya, Use Char-Paai(Palang) Par Utha kar le ja rahe the, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Qareeb se Janaaze ka Guzar huwa to Aap Alayhis Salaam ne Uske liye Duaa Farmaayi to Woh Zinda ho kar Char-Paai par Beith gaya Aur Niche Utar Aaya, Usne Kafan Utaar kar Kapde Pahen liye Aur Char-Paai ko Khud Kandho par Utha liya Aur Apne Ghar Waapas Aagaya, Woh Bhi Kuchh Zamaana Zinda raha Aur Uski Aulaad bhi Baad me hui,
»» Aa’shar ki Beiti :-
Ek Shaksh jo Lougo se Ushr(Kheiti ki Peidaawaar ka 10 Wa Hissa) Wasul karta tha, Ya’ani Baadshah ki Taraf se Use Ushr Wasool karne par Muqarrar kiya huwa tha, Uski Beiti Fout(Inteqaal) ho gayi, Dusre Din Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Uske liye Duaa ki Woh Zinda ho gayi, Woh bhi Uske Baad Kuchh Waqt tak Zinda rahi Uske Baad Aulaad hui,
»» ‘Saam Bin Nooh’ :-
Hazrat Nooh Alayhis Salaam ke Beite ‘Saam’ ko Fout hue Kayi Sadiya Bit(Guzar) Chuki thi, Hazrat Isaa Alayhis Salaam Uski Qabr par Aaye Uske liye Duaa ki, Use ALLAH TA’ALA ne Zinda kar diya, Jab Woh Qabr se Nikla to Qayaamat ke Khouf se Uska Sar Nishf-Safeid(Aadha Safeid) ho Chuka tha Halaanki Us Zamaane me Lougo ke Baal Safeid Nahi Huwa karte the, Sab se Pehle Hazrat Ibhraahim Alayhis Salaam ke Baal Safeid hue, Usne Qabr se Nikalte hue Puchha Kya Qayaamat Aa gayi….??
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Farmaya Nahi Qayaamat to Abhi Nahi Aayi Albatta Meine ALLAH TA’ALA se Duaa karke Tumhe Zinda kiya he, Aap Alayhis Salaam ne Farmaaya Ab Tum Fir Marr Jaao, Usne Kaha Thik he Lekin Shart ye he ki Mujhe Sakraate-Mout(Mout ki Shakhti) Se Mehfuz rakha jaaye, Aap Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA se Duaa ki ALLAH TA’ALA ne Use Sakraate-Mout ke Bageir hi Dobara Mout Ataa Farma di,
“Hazrat isa alaihissalam” ka ‘Saam Bin Nooh’ ko Zinda karne ki Kya Wajah thi…??
‘Saam Bin Nooh’ ko Zinda karne ki Wajah ye thi ki Jab Qoum ne kaha Tumne jo Murde Abhi Zinda kiye he Unki Mout ke Baad Jald hi Tumne Unko Zinda kiya he, Ho Sakta he Wo Haqiqat me Mare hi Na ho, Balki Unko Saktah ka Marz(Saktah Ek Dimaagi Beemari he Jisme Behoshi Ta’ri ho jati he Aur Murde ki Tarah Hous wa Harkat Nahi Rehta) Laahiq ho, To Unke kehne par Aap Alayhis Salaam ne ‘Saam Bin Nooh’ ko Zinda kiya, Aap Alayhis Salaam Aur ‘Saam Bin Nooh’ ke Darmiyaan Char Hazaar(4,000) Saal ka Faasla tha, Jab Woh Zinda huwa to Usne Kaha
“Ay Lougo Tum In par Imaan le Aao, Ye ALLAH TA’ALA ke Nabi he, Kuchh Lougo ne to Imaan Qabul kar liya tha Lekin Kuchh Bad-Bakhto ne ye Azeem Mo’jiza Deikhne ke Baad bhi ye kaha ki Ye Jaadu he… Woh Imaan Laane se Mehrum rahe.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Hissa-2, Safa-169)
Baaz Riwaayat me ye bhi he ki Us Waqt ke Baadshah ne Apne Beite ko Zinda karne ki Darkhwaast ki thi Taaki Woh Zinda ho kar Meira Khalifa Ban Sake, To Aap Alayhis Salaam ki Duaa se Woh bhi Zinda ho gaya tha Aur Aap Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA ke Hukm se Aur ALLAH TA’ALA se Duaa karke Kayi Jaanwaro ko bhi Zinda kiya tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-521, 522, 523)
Subhan Allah…
Beishak Murde ko Zinda karna Ye “Hazrat isa alaihissalam” ka Azeem Mo’jiza he…

“Hazrat isa alaihissalam”ko Ulume Geibiya Ataa kiye gaye :

Quraane Majeed me he ki
“Aur Tumhe Batata hu jo Tum Khaate Aur jo Apne Gharo me Jama’a kar rakhte ho”
(Surah Aale Imraan, Aayat-49)
“Hazrat isa alaihissalam” ne Bachpan me hi Geibi(Poshida/Gaayab) Khabre Deina Shuru kar di thi, Jab Aap ke Sath Bacche Kheilte to Aap Unhe Unke Waalidein(Maa-Baap) ke Af’aal(Kaam) ki Khabre deite Aur ye Bataate Tumhaari Maa ne Tumhaare liye kya Chiz Chhupa kar rakhi hui he…?? Bachhe Ghar Aa kar Wo Chize Maangte, Na Milne par Route, Jab Lougo ko Pata Chala ki “Hazrat isa alaihissalam” Humaare Baccho ko ye Bataate he To Unhone Baccho ko kaha Tum Is Jaadugar ke Sath Na kheila karo (Nauzobillah), Unhone Apne Baccho ko Apne Apne Gharo me Rouk liya, Baahar Nikal kar “Hazrat isa alaihissalam” ke Sath Kheilne par Pabandi(Rok) Aaid kardi, Aap Alayhis Salaam Khud hi Baccho ko Bulaane Unke Gharo me Aa gaye, Unke Waalidein ne kaha ki Woh Ghar Nahi he, Aap Alayhis Salaam ne kaha Woh to Ghar hi me he Agar Wo Ghar Nahi to Kon Gharo me he..? Unhone kaha Khinzir(Suwar/Pig) he, “Hazrat isa alaihissalam” ne Farmaaya Achha Khinzir hi honge, Aap Alayhis Salaam ke Kehne par Woh Khinzir hi ho gaye,
Isi Tarah Maaida(Dastarkhan Jis par Khana Chuna huwa hota he) ke Utar ne par Aap Alayhis Salaam ne Qoum ko kaha ki Zakhira(Jama) Bana kar Nahi rakhna, Itna hi Leina he Jo Is Waqt Tum Khaa Sako, Lekin Qoum ne Zakhira Banana Aur Dusre Waqt ke liye Jama karna Shuru kar diya To Aap Alayhis Salaam ne Farmaya Mujhe Ma’alum he jo Tum Khaate Aur Jo Jama karte ho, Aap Alayhis Salaam ne Har Ek ko Waazeh Tour par Bataya ki Tumne Kitna Khaya he Aur Kitna Jama kiya he.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-61)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-523)

Post a Comment

2 Comments

  1. Ayatul Kursi In Hindi | तर्जुमा के साथ आयतल कुर्सी हिंदी में
    ayatul-kursi-in-hindi

    ReplyDelete

If you have any doubt , please let me know through the contact form in the above .