► Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne sab se pehla nikah Hazrate Khadeejtul Kubra radiallahu ta’ala anha se kiya jo bewa thi. Us waqt Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki umr 25 baras aur Hazrate Khadeejtul Kubra radiallahu ta’ala anha ki umr 40 baras thi.
► Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Hazrate Khadeejtul Kubra radiallahu ta’ala anha ki hayat me kisi dusri aurat se nikah nahi kiya tha. Aap ke inteqal ke baad hi Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne dusra nikah kiya.
► Hijrat ke waqt Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki ek hi biwi thi – Hazrate Sawdah bint Zam’a radiallahu ta’ala anha. Baqi tamam nikah aap ne Madina shareef aakar kiye.
► Azwaje mutahhirat me se Hazrate Aaisha bint Abu Bakr Siddiq radiallahu ta’ala anha hi kunwari (virgin) thi, Baqi tamam ya to bewa thi ya talaaq-shuda thi. Aur aap sab se kam umr ki thi.
► Hazrate Khadeejatul Kubra aur Hazrate Zainab bint Hazeema radiallahu ta’ala anha ka wisal Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki hayate zaahiri me hua. Aur baqi 10 Azwaje mutahhirat aap sallallahu alaihi wasallam ke wisal ke waqt maujood thi.
► Tamam Azwaje mutahhirat me Hazrate Umm Salma radiallahu ta’ala anha ka wisal sab se aakhir me hua.
Aulade Amjaad :
(Children of Holy Prophet sallallahu alaihi wasallam)
(Children of Holy Prophet sallallahu alaihi wasallam)
(1) Hazrate Khadijatul Kubra radiallahu ta’ala anha se aap ke 2 sahabzaade aur 4 sahabzadiya hain.
Sahabzade : Qaasim, Abdullah,
Sahabzadiya : Zainab, Ruqayya, Umm Kulsoom, Fatima Zahra
Sahabzade : Qaasim, Abdullah,
Sahabzadiya : Zainab, Ruqayya, Umm Kulsoom, Fatima Zahra
(2) Hazrate Maria Qibtiyya radiallahu ta’ala anha se aap ke 1 sahabzade hain.
Ibraheem
Ibraheem
Sahabzade :(1) Qasim radiallahu ta’ala anhu (Wiladat 604 A.D. – Wisal 605 A.D., Jannatul Mualla, Makka)
(2) Abdullah radiallahu ta’ala anhu (– Wisal 615 A.D.)
(3) Ibraheem radiallahu ta’ala anhu (Wiladat 8 Hijri – Wisal 10 Hijri [632 A.D.], Jannatul Baqee, Madina)
Sahabzadiya :(1) Zainab radiallahu ta’ala anha (Wiladat 597 A.D. – Wisal 8 Hijri [629 A.D.], Jannatul Baqee, Madina)
(2) Ruqayya radiallahu ta’ala anha (– Wisal 2 Hijri [624 A.D.], Jannatul Baqee, Madina)
(3) Umm Kulsoom radiallahu ta’ala anha (Wiladat 600 A.D. Wisal 8 Hijri [630 A.D.], Jannatul Baqee, Madina)
(4) Fatima Zahra radiallahu ta’ala anha (Wiladat 605 A.D. – Wisal 11 Hijri [632 A.D.], Jannatul Baqee, Madina)
0 Comments
If you have any doubt , please let me know through the contact form in the above .