NAJDI KOUN👇🏻AAP AAQA Sallallahu Alaihi-wa- Sallam) NE USKE BARE ME KYA FARMAYA ??



NAJDI KOUN👇🏻

Aaye ab hum dekhte hain ki pyare AAQA Sallallahu Alaihi-wa-
Sallam)
ne kis tarah apne ummatiyon ko is

"FITNA-E-AZEEM"

Se agah kar diya tha.

Sawal:- BIN ABDUL WAHAAB NAJDI KOUN THA ?

Wahabi aur ahle Hadis jaise frike ko janam dene wala

HUZOOR
Sallallahu Alaihi-wa-Sallam)
ke pas ek Gustakh
aya jiski Daadhi Ghani, sar munda (takla) Tehband TAKHNO SE
(kuch ziyada hi)
UNCHA aur ANKHON K DARMIYAN SAJDAY Ka
NISHAN tha,

AAP (Sallallahu Alaihi-wa-Sallam) ne farmaya k Sarzameen-e-Najd se Iski Nasal se ek Qaum niklegi us Qaum ki ye halat hogi k unke samne tum apni Namazon aur
Rozon ko unki Namazon aur Rozon k Aagay Haqeer Janoge,

Quran tumse achchha padhenge Lekin Quran unke Halaq se niche nahi utrega,

Deen se Aise Nikal Jayenge Jaise teer kamaan se nikal
jata he,

ye log nikalte hi rahenge yahan tak ki inka akhri giroh
Dajjal K saath niklega.

Refrence.
Bukhari Sharif ,Jild 2, Page no 624;

Tirmizi Musnad, jild 4, Page no 424..

SARKAR
Sallallahu Alaihi-wa-Sallam)
k pas jo Gustakh
apni tehband ko takhno se (kuch ziyada hi) upar uthaye aur ghani
dadhi k saath sar mundwaye hue aya tha uska naam

"Zulkhuwaisira"

tha aur uska ta'alluq Qabila-e-banu tamim se tha.

Refrence.
Bukhari Sharif, Jild 1 Page no 501..


Part 2'
Pehlay padhlein.

Yahi waqiya
MISHKAT SHAREEF me Abu Saeed Khudri
(Radiyallahu Ta’ala Anhu)
se manqool hai.

Farmate hain ki hum log HUZOOR-E-ANWAR Sallallahu
Alaihi-wa-Sallam) ki khidmat me hazir the aur HUZOOR
Sallallahu Alaihi-wa-Sallam)
maal-e-ganimat taqseem farma
rahe the ki

"ZULKHAWAISIRA"

naam ka ek shakhs jo QABEELA BANU TAMIM ka rehne wala tha..
aya aur kaha ke aiye ALLAH k Rasool sallallahualayhewasallam)
insaf se kam lo.

Huzoor
Sallallahualayhewasallam)
ne farmaya afsos teri jasarat (himmat, jurrat) par Mai hi insaf
nahi karoonga to aur kaun insaf karne wala hai Agar Mai insaf
nahi karta to tu Khaaib wa khaasir
(tahas-nahas) ho chuka
hota.

”Hazrate UMAR (Radiyallahu Ta’ala Anhu) se jab nahi raha
gaya to unhone arz kiya ki Huzoor mujhe ijazat dijiye mai iski
gardan mar doon
Huzoor
(Sallallahu AlaihiwaSallam)
ne farmaya isey chhod do yeh akela nahi hai iske bahot se sathi hain
jinki Namazon aur Rozon ko dekhkar tum apni Namazon aur
Rozon ko hakeer samjhoge,
woh Qur’aan padhenge lekin Qur’aan unke halaq se neeche nahi utrega.
Yani in sari zahiri khubiyon ke bawajood woh deen se ayse nikal jayenge jaise teer shikar se nikal jata hai.

Refrence.
Mishkat Shareef wa Bhukhari Shareef}

Imam-e-KABA Allama Ahmad bin Dehlaan Makki
(Aalaihir-rehma) Likhte hain ki Ye Maghroor Muhammad Bin Abdul Wahhab Najdi bhi Banu
Tamim se hi tha.
To aain mumkin hai ki wo

"ZulKhawaisira"

tamimi ki Nasl se ho Jis k bare me Hadees aayi hai k Is ki Nasl
se ek Qaum Niklegi"

is hadees ki tafseel part
2 me
guzar chuki hai)

Refrence.
Addurar-us-Sun niyya, Page no 51.

NABI-E-KAREEM
Sallallahualaihewasallam)
ne frmaya Mujhe tum par us shakhs ka Khauf hai jo Quran padhega aur us par Quran ki Ronaq Dekhi jayegi aur Usne Islam ki chadar odhli hogi Phir ALLAH jidhar chahega Usko Behka dega,
wo Islam ki chadar se nikal jayega or Apne (musalman) padosi par Talwar chalayega aur us par
SHIRK KI TOHMAT LAGAYEGA"

Sahaba (raziALALAHanhu) ne
puchha dono me se Mushrik kaun hoga?
Aap sallallahualayhewasallam)
Ne Farmaya SHIRK KI TOHMAT LAGANE WALA"

Refrence.
Tabrani Sharif, jild 20, Page no 88}


HADEES
Ye Musalmano ko Qatal karengey aur But'Paraston ko chhod dengey"

Refrence.
Bukhari Sharif,
raqam-ul-hadees 6880 beroot}

Is Dajjali Giroh jiski kai Nishaniyan
(maslan Sar mundwana, Takhno se tehband wagherah ka kuch ziyada he Unche rakhna,

aap ne mustanad Ahaadis-o-Aqwal se mulaheza farmayi,

ab zara in gustakho par ghazab-e-ILahi ka ek andaz dekhien,

chunanche
NABI Sallallahualaihewasallam)
ne Frmaya
Ye Tamam Makhlooq se Badtareen hain"

Refrence.
Musnad Imam Ahmd, Jild 4, Page no 424..

Hadees.
Hazrat Ibn-e-Umar (Radiyallahota’ala anho)
farmate hain k
RASOOLALLAH SallallahuAlaihi-wa-Sallam)
ne MASHRIQ ki
janib Ishara kar k farmaya k is jagah se shaitan ka seengh niklega.

Refrence.
Bukhari Sharif, Jild 1, Page no 522..

Jazira-e-Arab k mashriq me Najd waaqe hai aur Najd hi k ilaqe Hanfia k ek Maqam Aain'ya me Muslima kazzab paida hua
(jisne Nabuwat ka dawa kiya tha)

phir 1100 saal bad 1703
(1115 hijri) me wahan se Mohammad bin Abdul Wahab Najdi paida hua
(Jisne aaqaid-e-Islam ki dhajjiyan uda di aur
wahabiyat ki bunyad rakhi).

Hadees.
Najd me Iman-o-Aaqaid k ZALZALE aur FITNE
honge aur waha se Shaitan ka
SEENGH niklega.

Refrence.
Tirmizi, Bab-ul-Manaqib, Hadees no 3953}

22-Sep-1934 me Najd Jazira-e-Arb k Mashriqi soobey k ek
Saudi Qabiley ne Musalmano ki Khilafat-e-usmaniya ko todd kar
jazira-e-Arab ki Pak sar'zameen par kabza kiya aur uska nam
Saudi Arab rakha,

aaj bhi wo arz-e- muqaddas unhi fitna parwar Najdiyon k tasallut me hai.

Sochne ki bat ye hai ki kya khilafat-e-usmaniya k afraad jo
Aulad-e-Usman-e-Ghani se they wo Arabi na the?

ya Sahaba ki
nasal se na the?

Agar aysa nahi hai aur yaqinan nahi hai to phir
kya un aulad-e-Sahaba ka qatl-e-aam kar k Haram par kabza
karne wale MUSALMAN ho skte hain??
Zaroor Sochiye..

Hadees.
HUZOOR
Sallallahu Alaihi-wa-Sallam)
ne farmaya Wahan
(Najd) se shaitan kem k DO pairokar niklenge"

Refrence.
Bukhari Sharif, Jild 1,
Page no 141,

Tirmizi Jild 2, Page no 234}

Allama Ahmad bin Zeni Dehlan Makki
(Alaihir-rahma) farmate
hain k Is sey Muraad Muslima Kazzaab aur Muhammad bin Abdul
Wahab Najdi hai.

pehlay padhlein..

aap jante hain k ye (Najdi) Badtareen Makhlooq kyon hain???

Hazrat Ibn-e-Umar (Radiyallaho Ta’ala Anho)
Farmate hain k Ye tamam makhlooq me Bad'tareen hain kyun ki ye Quran ki Un Ayaton ko Jo buto K bare me nazil hui hain unhe ALLAH walon par chaspa karte hain.

Refrence.
Bukhari Sharif, Jild 2, Page no 1024}

Imam-e-Qaba,
Mufti-e-Makka,
Ustad-e-ALA HAZRAT, Allama Ahmad bin Zeni Dehlan Makki Farmate hain k Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi ne jin Ayaton se Daleel pakdi hai wo mushrikon k bare me hain un Ayaton ko Musalmano par lagaya.

Aur Imam Bukhari ne Apni Sahih me Hazrat Abdullah Bin Umar se KHAWARIJ ki Alamat Bayan karte huway riwayat likhi hai k jo Ayatein Kuffar k haq me nazil hui hain unhe Muslmano par lagate hain"

Refrence.
Addurar-us-Sunn iyya, Page no 47..

Nabi-e-kareem Sallallahualaihewasallam)
ne Dua ki
Aye ALLAH hamare Mulk-SHAM AUR YAMAN me Baraqat nazil Farma,

logo
(sahabi rizwanullahtalaajmain)
ne arz kiya k hamare Najd k liye Bhe dua dijiye,

AAP Sallallahualaihewasallam)
ne phir farmaya Aye ALLAH hamare Mulk- SHAM AUR YAMAN me Barkat nazil farma,

Logo ne phir kaha k hamare Najd k liye bhi dua kijiye,

to teesri bar AAP Sallallahualaihewasallam)
ne Farmaya k WAHAN (Najd me)
Zalzale aur Fitne paida hongey aur wahan se Shaitan K Giroh (Hawari) Niklenge

Refrence.
Bukhari Sharif, Jild 1, Page no 141
Tirmizi Sharif, Jild 2, Page no 234}

FITNA-E-AZEEM"

PART 8'

NABI-E-KAREEM Sallallahualaihewasallam)
k pas Qabila Banu Tamim aya Apne farmaya Banu tamim basharat ho unhone kaha basharat to Aap de chuke ab Kuch (maal) dijye,
Is par HUZOOR Sallallahualaihewasallam)
ka Chehra-e-mubarak badal gaya Pher Ahl-e-YAMAN se kaha k bashart Qabul karo to unhone kaha k humne Qubul ki..

Refrence.
Bukhari Sharif, Jild 1, Page no 453}

Muhammad bin Abdul wahab Najdi ka Ilaqa NAJD aur Qabila Banu tamim hi tha,

Aur aap logo ne guzre huye post's mulaheza kiya k wo jagah
aur Qabila dono hi
NABI Sallallahualaihewasallam)
ki bashart se mehrum rahe.

NABI-e-kareem Sallallahualaihewasallam)
ne Yaman ki taraf nazar ki pher Iraq ki taraf nazar ki aur pher Shaam ki taraf Nazar ki aur Dua Farmayi
Aye ALLAH IN K DILON KO MERI TARAF MAIL Farma"

Refrence.
Kanzul Ummal, Jild 17, Page no 136,
Beroot}

Baaz (Najdi) Hazraat logon ko Is ghalat fehmi me Mubtala karte hain k Ahadees me jo sarzameen-e-Najd ki mazammat aayi hai us se murad Iraq hai.

lekin mazkura Hadis se Wazeh ho gaya k Iraq k liye to NABI Sallallahualaihewasallam)
ne Dua farmai hai aur Lehaza Najd se murad saudiya ka wohi shaher hai jis ka nam badal kar aaj Riyadh rakhdiya gaya hai

(taki musalmano ko gumrah kiya ja sake)

"FITNA-E-AZEEM"

PART 7'

MISHKAT SHAREEF,
Jild 2, Baab Zikril Yamane washshaam, Page no 582 me BUKHARI SHAREEF ke hawale se riwayat hai ki Hazrat Abdullah ibn-e-Umar
(Radiyallaho Ta’ala anho)
farmate hain ki ek din Dariya-e-Rehmat MUSTAFA
Sallallahu Alaihi-wa-Sallam)
josh me hai Bargah-e-ILAHI me hath uthakar dua farmai ja rahi hai Aiy ALLAH Hamare liye hamare sham me barkat de,
aye ALLAH hamko haamare yaman me barkat de.
Hazireen me se kuchh ne arz kiya ya Rasoolallah sallallahualayhewasallam)
dua farmayen ki hamare najd me barkat de.

Pher Huzoor sallallahualayhewasallam)
ne wahi dua farmai Shaam aur Yaman ka zikar farmaya magar Najd ka naam na liya.

Unhone pher tawajjo dilai ki huzoor sallallahualayhewasallam)
yeh bhi dua farmayein ki najd me barkat ho. Garaz teen bar yaman aur sham ke liye dua farmai.

Bar bar tawajjo dilane par bhi najd ko dua na farmai balki akhir me farmaya Maine is azli mehroom khitta ko dua kis tarah farmao Wahan to zalzale aur fitne paida honge.
Aur wahan shaitani giroh paida hoga.

Isse maloom hua ki Huzoor sayyad-e-aalam ki nigah-e-paak me dajjal ke fitna k bad NAJD ka fitna tha. Jisse
AAP
Sallallahualaihewasallam)
ne is tarah khabar dedi.


FITNA-E-AZEEM"

PART 9'

Nabi-e-kareem Sallallahualaihewasallam)
ne Sham ki tarf nazar ki aur Dua Farmayi Aye ALLAH In k Dilon ko apni ita'at ki tarf mail farma aur Inke Ird Gird apni Rehmaton ko gher day,

pher Yaman-o-IRAQ ki taraf nazar ki aur Isi tarha Dua farmayi"

Refrence.
Musannaf ibn-e-shaiba, Jild 11, Page no 251}

Is se wazeh ho gaya k IRAQ K Ird Gird to ALLAH ki Rahmatein hain,

Jabki Najd k bare me to naam lekar Ishara kar k Samt bata kar farmaya k waha se Fitna-e-Azima uthega.

yahi wajah hai k saudiyo ne Najd se Muhammad bin Abdul Wahhab Najdi k fitne k bad musalmano ko us fitne se be khabar rakhne k liye Najd ka naam badal kar Riyad rakh diya hai)

Is tamam guftgu se maloom hua ki

“Najd se Iman-o-Aqaid ke Fitne wa Zalzale paida hongey,

Shaitan ka Seengh niklega,
Shaitani Giroh Niklega,

ye But paraston ko chhodengey aur Musalmano ko Qatal karenge,

Musalmano par Shirk ki tohmat lagaenge”

Is farman-e-aali k mutabik

BARAHVEEN sadi me NAJD SE MUHAMMAD BIN ABDUL WAHHAB paida hua..

Usne kya kiya Ahle-e-Harmain wa Deegar muslamano par zulm kiye uski dastan to Saiful Jabbar aur Bawariq-e-Muhammadiya ala Argamatun najdiya wagherah tawareekh me maujood hain.

"FITNA-E-AZEEM"

PART 10'

part 9' pehlay padhlein.

Unke kuch zulm Allama Ibn-e-Abideen Shami ne apni kitab Raddul Muhtar,
Jild Saum, Babul Bughat ke shuru me kuchh is tarah bayan farmayen hain..

Jaise ki hamare zamane me Abdul wahhab ke manne walo ka waqiya hua ki ye log Najd se nikle aur Makka wa Madina par unhone Ghalba kar liya.
Apne ko (yani khud ko) Hambali mazhab ki taraf mansoob karte the. Lekin unka Aqeedah yeh tha ki sirf hum hi musalman hain aur jo hamare aqeede ke khilaf hai woh mushriq hai.

Isliye unhone Ahl-e-Sunnat-wa-Jamaat ka qatal jaiz samjha aur unke ulama-e-ikram ko Qatl kiya.
Yaha tak ki ALLAH ne Wahabyon ki shaukat todi aur unke shahero ko veeran kar diya.
Aur islami lashkaron ko un par fatah di.
Yeh waqiya 1233 hijri me hua..

Refrence.
Raddul Muhtar Jild 7. Page no 413, Pakistan Edition}

Allama Shami ke is Fatwe se apke samne ye sabit ho gaya ki be'shak wo fitna Wahabiyo ka hi hai jiske bare me upar guftgu ki gai hai.
Yaha ek cheez aur dheyan deney wali hai ki Allama shami ne farmaya ki Ahl-e-Sunnat wa jamaat ka Qatl jaiz samjha aur unke Ulama-e-ikram ko Qatal kiya yani Jab tak ye kabza nahi hua tha tab tak waha Ahl-e-Sunnat wa jamaat thi
(yani takreeban 1250 sal tak us paak jagah ki chabi Ahl-e-Sunnat
Wa Jamaat ke pas thi aur bad me wahabiyo ne Qatal-o-qital karke waha kabza kiya.

Saiful Jabbar me Wahabiyon ke Beshumar zulm bayan kiye gae hain ki Makka mukarrama wa Madeena Tayyiba me Be gunaho ko Be-dareg qatal kiya aur Harmain-Shareefain ke rahne walon ki aurton aur ladkiyo se zina kiya. Unko ghulam banaya, unki aurto ko apni laundiya sadat-e-kirma ko bahut qatal wa gharat kiya.
Masjid-e-Nabwi shareef k tamam Qaleen aur jihaad wa fanus utha kar najd le gae.
Tamam sahaba-e-kiram aur ahl-e-bait-e-izam ki kabro ko gira kar zameen se mila diya.

Yaha tak ki yeh bhi irada kiya ki khas gumbad-e-khizra jiske ird gird roz'ana subha wa sham malaiika salaat wa salaam padhte hain usko bhi gira diya jaye magar jo shakhs is buri niyat se roza-e-paak par gaya us par khuda-e-paak ne ek saanp mukkar farma diya,
jisne usko halaak kiya. Aur Rabbul alameen ne apne mehboob ki is aakhri aramgah ko un se mehfooz rakkha.
Garz ki unke zulm behad taqleef deh hain jinke bayan se kaleja muh ko ata hai.

Yazeed ne ahl-e-bait ki dushmani unki zindagi me hi ki magar terah saw baras ke bad Sahaba-e-kiram aur Ahl-e-Baite izam ko unki qabron me satana un wahabiyon ke hathon hua.

Post a Comment

0 Comments