Alaihissalam ka meaning kya hai aur kin ke naam me lagana chahye ?




📋 Sawal (1) :
•-•-•-•-•-•-•-•

Ek bhai ka sawal
1.'alaihissalam ka meaning kya hai

Nabi aur frishte k alawa 'alaihissalam kisi sahaba k aaghe lagana kaisa...???

Hazrat e imaam e hussain radiyallahu ta'aala 'anh k aaghe 'alaihissalam lagana kaisa

Aur kyu nai lagana chahiye...???

✍ Jawab (1) :
•-•-•-•-•-•-•-•
Hamare is daur me ye baat aam hoti jaa rahi hai k sayyedna Ali e Murtaza, Hasnain kareemain, sayyeda Fatima wa Deegar Aal e Rasool ﷺ ke afrad e kareema ke ilaawa saabiqa Ambiya Alaihimussalam ki Baaz Ahl par Lafz "Alaihissalam" ka istemaal karte hain. Awaam ke ilaawa khwaas ki bhi Aadat ban gayi hai k Shia Firqe ke dekha dekhi ye Marz barh raha hai.

Akaabir Saaleheen Ulama o Mashaikh E Muhaqqiqeen ka yahi Mauqif e Mukhtar hai ke Gair e Ambia o Malaaika ke liye Alaihissalam Na Istemaal kiya jaaye ... behtar yahi hai k aisa itlaaq na ho balke Aadat khatam kar di jaaye taake Mazhab e Shia se Tashaaboh aur us ki Tarweej na ho ...


Islami qaayeda hai k Badmazhab qaum ke sath kisi tarah bhi Mushaabahat na ho, un se Mushabahat ke tamam tareeqe tark karne chahiye .

Wajah zaahir hai k Sunni Bhola Bhala hai use Shia Apne Mazhab me laane ki kai Tadbeeren bataate hain
 Ek yahi hai k 12 Imamo ke liye Duaaiya Jumla "Alaihis Salam" Tajweez kar rakha hai jo kisi dosre Ummati ke liye Istemaal nahi hota hai balke keh nahi sakta Abu Bakar Alaihis Salam, Umar Alaihis Salam, Usman Alaihis Salam, balke in Hazraat ke sath Razi-Allahu Ta'ala Anh ka Iste'mal hota hai. Awaamun Naas ye sab kuch dekhte hain aur agar wo khud is taraf mutawajjeh nahi hote to Jamaa't e Mujtahideen un ko mutawajjeh karti hai aur un ko ye dikhati aur samjhati hai k ye Du'aaiya jumla jo Hazraat e Ambiya e kiram Alaihimus Salam ke Mubarak naamo ke sath bhi bola jata hai hamare aimma ke naamo ke sath bhi bola jata hai. Isi se zaahir o baahir hai k ye 12 Afraad zumra e Ambiya me shamil hain aur un ki imamat Ma'mooli imamat nahi balke Hazraat e Ambiya e Maa Sabaq ki imamat hai.

 Faayeda:
Agar Baaz Ulama ki tahqeeq Baraaye Gair Ambiya Alaihissalato wassalam ya Alaihissalam kehne ko jaayez qarar dete hain aur un ke qaul par Koi Amal karta hai to wo pehle un 2 hazraat (Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umar)  ke sath is ka istemaal kare jo Ahl e Sunnat o Jamaat ke nazdeek shia ke 12 imamo se ba ittefaq afzal hain aur wo Hazrat Abu Bakr Aur Hazrat Umar رضی اللّٰــه تعالیٰ عنــــــــہما hain. mujawwizeen ne agar jawaaz ka bayan kiya hai to tamam sahaba ulama o sulaha ke liye kiya hai sirf Ahl e Bait e At'haar ke 12 afraad ke liye nahi kiya hai.

In halaat ko dekhte hue hazraat e ahl e bait e at'haar رضی اللّٰــه تعالیٰ عنــــــــہم ke zikr ke waqt lafz e alaihis salam ki dua karne ko tark kiya jaaye taake Shia Awaam e Ahl e Sunnat ko Gumraah na kar saken.Wa-Allahu Ta'ala A'lam

 ○●●●●●●●●●●●●○0

Post a Comment

5 Comments

  1. Thanks for your share. JazakAllahu..

    ReplyDelete
  2. Alehisslam wale logo se mangna cahiye.
    Kuike...
    Shah Nawaz Alam 5 - Sureh Maa'edah Ayat No.35

    یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا اتَّقُوا اللّٰہَ وَ ابۡتَغُوۡۤا اِلَیۡہِ الۡوَسِیۡلَۃَ وَ جَاہِدُوۡا فِیۡ سَبِیۡلِہٖ لَعَلَّکُمۡ تُفۡلِحُوۡنَ ﴿۳۵﴾

    اے ایمان والو اللہ سے ڈرو اور اس کی طرف وسیلہ ڈھونڈو اور اس کی راہ میں جہاد کرو اس امید پر کہ فلاح پاؤ ۔

    Aye Imaan Waalo Allah Se Daro Aur Uski Taraf Waseela Dhoondo Aur Uski Raah Me'n Jihaad Karo Iss Ummeed Par Ke Falaah Paao.

    !
    Usse kya lena jo khud insano ki dua ka mohtaj ho...

    ReplyDelete
  3. Bhai isme shia sunni ki bat kaha aae he or hmare nabi e pak( s.a.w) or unka gharana (ahle-bait) sb se afzal gharana he or unke mukable koi nahi aa sakta he or jannat ke sardar b wahi he or dunia ke b sardar wo hi he.... Ahle bait a.s tamam ambia a.s se afzal he q ki hmare nabi( s.a.w) tamab nabi se afzal he or hmare nabi (s.a.w) ne farmaya he "ali mujse he me ali se hu"
    "Hasan mujse he me hasan se hu ""Hussain mujse he me husain se h" Iska matlab ye he ke inki azmat ko koi nai samj sakta or sahaba radiallahu taala anhu he or ahlebait a.s he or rahenge..... Yaha logo ko gumrah kroge upar to inki hi sarkar he jannat ki khwais rakhte ho lekin jannat ke sardar ko hi nai jante ho.... Afsos he Allah apko sahi ilam hasil karne ki taufiq de.... Aamin

    ReplyDelete
  4. Ye log Rasoole Qhuda sallallahu alaihi wa aalehi wasallam ko apne jaisa mante hai
    To inse kya bahas
    Ink inke haal par chhodo

    ReplyDelete

If you have any doubt , please let me know through the contact form in the above .