Kya huzur Sallallau alaihi wa sallam hamare salaam ko sunte hain ??


huzur hamare salaam ko sunte hain. .
hadis.👇🏻
Aqeedah Hayatun Nabi Alaihissalam
Hadith number 6
‎ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﻣُﺤَﻤَّﺪُ ﺑْﻦُ ﻋَﻮْﻑٍ، ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺍﻟْﻤُﻘْﺮِﺉُ، ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺣَﻴْﻮَﺓُ، ﻋَﻦْ ﺃَﺑِﻲ ﺻَﺨْﺮٍ، ﺣُﻤَﻴْﺪِ ﺑْﻦِ ﺯِﻳَﺎﺩٍ ﻋَﻦْ ﻳَﺰِﻳﺪَ ﺑْﻦِ ﻋَﺒْﺪِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺑْﻦِ ﻗُﺴَﻴْﻂٍ،ﻋَﻦْ ﺃَﺑِﻲ ﻫُﺮَﻳْﺮَﺓَ، ﺃَﻥَّ ﺭَﺳُﻮﻝَ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗَﺎﻝَ ” ﻣَﺎ ﻣِﻦْ ﺃَﺣَﺪٍ ﻳُﺴَﻠِّﻢُ ﻋَﻠَﻰَّ ﺇِﻻَّ ﺭَﺩَّ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻰَّ ﺭُﻭﺣِﻲ ﺣَﺘَّﻰ ﺃَﺭُﺩَّ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﺍﻟﺴَّﻼَﻡَ ”
SANAD:

Muhammad bin Awf bin Sufyan——» Haywat bin Sharih bin Safwan——» Hameed bin Ziyad——»Yazid bin Abdullah bin Qasayt——»Abu Huraira RadiAllahu Anhum
MATAN:

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Talaa Anhu se Riwayat Hain Ke Rasool Salallahu Alahi  Wassallam Ne Farmaya-” Jab Koi Mujhpar Salaam Bhejta Hai Toh ALLAH TA'ALA Ne Meri Ruh Wapis Luta Di Hui Hain Yaha Tak Ke Main Har Salaam Karne Wale Ke Salaam ka Jawab Bhi Deta hun."
References
From : Abu Dawud
Book : Al Manasik
Chapter : Qabroon ki zyarat karna
Hadith number : 2041
From : Ahmad Bin Hambal
Book : Al Musnad
Volume : 2
Page : 527
Hadith number : 10867
From : Tabrani
Book : M'ajam Al Ausath
Volume : 3
Page : 262
Hadith number : 3092 , 9329
From : Byhaqi
Book : Sunan Al Kubra
Volume : 5
Page : 245
Hadith number : 10050
From : Bayhaqi
Book : Sh'ab Al Emaan
Volume : 2
Page : 217
Hadith number : 5181
From : Shuab-ul-Iman
Volume : 02
Page : 217,
Hadith Number : 5181, 4161
From : Ibn Rahawayh,
Book : Al-Musnad,
Volume : 01
Page : 453
Hadith Number : 526
From : Mundhiri
Book : At-Targhib Wat-Tarhib,  Volume : 02
Page : 326
Hadith Number: 2573
From : Haythami
Book : Majma-uz-Zawa'id,
Volume : 10
Page : 162
Imam Jalaluddin Suyuti r.a farmate hain:
Hadees me ''Radda'' ke lafz maujud hain, aur
''radda'' ka maayna hai ''àlà-àl-dàwam'' yani
permanently.
To yahan ye matlab nahi hua ki ALLAH TA'ALA
bar bar apne Mehbub ki Rùh lautata hai, aur
fir bar bar wapas leta hai,
balki ye matlab hai ki ALLAH ne apne Mehbub
ki Rùh ko lauta diya hai, aur ab wo zinda hain.
(Ambaul Azkiya Pg.11)
Iss Riwayat Ko In Muhaddiseen Ne Sahih Qarar Diya Hai
1.Wahabiyo Ke Sheikhul Albani Ne iss riwayat ko Hasan Kaha..
2.Imam Suyuti Kehtey he Iss Hadees me “Radda” Ke Lafaz maujood hain Aur “Radda” hameshgi ke liye hai..
[Al-Hawi lil Fatawi, 2/271,272]
3.Imam al-Nawawi (rah) farmatey hain ﺭَﻭَﺍﻩُ ﺃﺑُﻮ ﺩَﺍﻭُﺩَ ﺑﺈﺳﻨﺎﺩ ﺻﺤﻴﺢ.
Tarjumah- abu dawud ki yeh hadees ki sanad sahih he…
[Riyadh us-Saliheen, 1/255, hd.no: 1402]
4.Ghair Muqallid Qazi Shawkani Rah likhtey hain-
ﻭﺃﺻﺢ ﻣﺎ ﻭﺭﺩ ﻓﻲ ﺫﻟﻚ ﻣﺎ ﺭﻭﺍﻩ ﺃﺣﻤﺪ ﻭﺃﺑﻮ ﺩﺍﻭﺩ ﻋﻦ ﺃﺑﻲ ﻫﺮﻳﺮﺓ ﻣﺮﻓﻮﻋﺎً
Tarjumah: yeh riwayat Imam Ahmed Aur Abu Dawud rah ne Sahih aur
Marfu sanad se Abu
Hurraira raz se naqal kiya hai
[Neel al-Awsaar, 5/164]


Post a Comment

0 Comments