🌷 Auliya Allah ke fazaail: 🌷


.. Auliya Allah ke fazaail :

───────────
(1) Qur’an :
10 Surah al-Yunus, Aayat 62-63-64 :
Khabardar sun lo beshak jo ALLAH ke dost hote hain unko na
to koi khauf hota hai aur na koi gham hota hai.
Wo log jo eimaan laaye aur (hamesha) taqwa par rahe.
Un ke liye duniya ki zindagi me (izzat wa kaamyabi ki)
khushkhabari hai aur aakhirat me bhi (magfirat wa shafa’at
ki).
(2) Hadeese Qudsi :
ALLAH ta’ala farmata hai :
‘Jis ne mere kisi Wali se dushmani ki main us se elaane e
jang karta hu.’
(Bukhari, Jild -5, Hadees -2384;
Sunan Ibne Maajah, Kitaab-ul-Fitan, Hadees -3989)
(3) Hadeese Nabawi :
Wali woh hai jis (ki surat) ko dekhna tumhe ALLAH ki yaad
dilaye, Jis ki guftagu Ilm me izaafa kare, Aur jis ke amal
aakhirat ki yaad dilaye.
(4) Hadeese Nabawi :
Hazrat Abdullah bin Umar radi-Allahu ta’ala anhu se riwayat
hai ki :
Huzoor Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya,
‘Beshak ALLAH ta’ala ke kuchh khaas bande aise hain ke
ALLAH ta’ala ne unhe makhlooq ki haajat rawai ke liye khaas
farmaya hai. Log apni haajaten un ke paas lekar aate hain
(aur wo unki haajat rawai karte hain). ALLAH ta’ala ke wo
khaas bande azaabe Ilaahi se amaan me hain.’
(5) Hadeese Nabawi :
Huzoore akram Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ne
farmaya ki
“Jab tum me se kisi ki sawaari jangal me chhut jaaye ya koi
cheez kho jaaye to is tarah pukarna chahiye, ‘Aainooni Ya
Ibaad-Allah ya’ni Aye ALLAH ke bando, meri madad karo’,
Aisa 3 baar kahe.
Kyun ki ALLAH ke bahut se aise bande is zameen par hote
hain, Jo tumhari madad karenge.”
(Tibraani Kabeer, Hadees -105 18,
Fatah-ul qadir, Jild – 1, Safa -92)
(6) Hadeese Nabawi :
Hazrate Umar Farooq radiAllahu ta’ala anhu riwayat hai :
Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya,
‘ALLAH ke kuchh bande aise honge jo na Nabi honge aur na
Shohada honge; Magar roze mehashar un ke buland maqaam
ko dekh kar Nabi bhi rashk karenge aur Shohada bhi rashk
karenge.’
Asahaba ne arz kiya : ‘ Ya Rasool-Allah sallallahu alaihi wa
sallam, Hume bata de’n, wo kaun log honge?”
Aap sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya, ‘Yeh wo log hain
jo ALLAH ke liye ek-dusre se mohabbat karte hain. ALLAH ki
qasam un ke chehre 14wi raat ke chaand ki tarah chamak
rahe honge aur wo noor ke mimbaron par baithe honge. Us
din jab log khaufzada honge unhe koi khauf na hoga aur jab
us din log ghamzada honge unhe koi gham na hoga.’
Phir Aap sallallahu alaihi wa sallam ne yeh Aayat Tilawat ki –
(Qur’an :
10 Surah al-Yunus, Aayat 62)
‘Khabardar sun lo beshak jo ALLAH ke dost hote hain un ko
na to koi khauf hota hai aur na koi gam hota hai.’
(Abu Daawood, Jild -3, Safa -288, Hadees -3527)
(7) Hadeese Nabawi :
Ek baar Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne
farmaya,
‘ALLAH ta’ala ne meri ummat me 70,000 afraad aise ata
farmaye hain jo bagair hisaab o kitaab ke Jannat me daakhil
honge.’
Ye sunkar ek sahabi ne aage aaye aur arz kiya ‘Ya Rasool-
Allah sallallahu alaihi wa sallam, Aap ne ALLAH ta’ala se
majeed na maanga?’
Aap ne aage farmaya ‘Wo har aik apne saath 70-70 hazaar
logo ko Jannat me leke jaayenge.’
(Sahih Bukhari, Jild -11, Kitaab-ul-Raqaia, Safa 416;
Sahih Muslim, Jild -1, Kitaab-ul-Eimaan, Safa -198)

Post a Comment

0 Comments