🌺🌻🌺. SACCHE AULIYA E KIRAM APNE CHAHNE WALO KI SHAFAAT KARENGE 🌺🌻🌺

Auliya e kiram apne chahne walo ki shafa'at karenge

Hazrat Abu saeed khudri (رضی اللہ تعالیٰ عنہ) riwayat karte hai ke

Huzoor Nabi akram (ﷺ) ne farmaya:
' Tumhare kisi ek Shaks ka bhi dunya mein kisi Haqq baat ke liye takrar karna is Qadar sakht nahi hoga Jo takrar Momin kamileen apne Parwardigar se apne un bhaiyo ke liye karenge Jo Jahannum mein dakhil hochuke honge.

Wo arz karenge: Aye hamare Parwardigar! Hamare yeh bhai hamare saath Namaze padte the aur Hamare saath Roze rakhte the aur Hamare saath Haj karte the aur Tu ne unhe Dozakh me daal diya hai ?

Us par Allah ta’ala farmayega: Acha Tum Jinhey peehchantay ho unhe ja kar khud Dozakh se nikal lo.
Kehte hai: Wo un ke paas jayenge aur unki Shakley dekh kar unhe pheechan lenge. Un mein se baaz ko to Aag ney Pindliyo ke nisf tak aur baaz ko takhno tak pakda hoga. Unhe nikalenge
aur phir arz karenge: Aye Hamare Parwardigar! Tu ne humey Jin ke nikaal ney ka Hukum farmaya tha un he Humne nikal liya,
Phir Allah ta’ala farmayega: unhe bhi ja kar nikal lo Jinke Dil mein ek dinar ke barabar bhi Eman hai.
Phir farmayega: Use bhi nikal lao Jis ke Dil mein nisf dinar ke barabar Eman hai
(phir) yahan tak farmayega: Use bhi (nikal lao) Jis ke Dil mein zarra barabar Eman hai.

Hazrat Abu saeed khudri (رضی اللہ تعالیٰ عنہ) ne farmaya: Ab Jis Shaks ko Yaqeen na aye to Wo ye Ayat-e-Kareema padhle.

إِنَّ اللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَن يُشْرَكَ بِهِ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَاءُ ۚ وَمَن يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَقَدِ افْتَرَىٰ إِثْمًا عَظِيمًا

بیشک اللہ اسے نہیں بخشتا کہ اس کے ساتھ کفر کیا جائے اور کفر سے نیچے جو کچھ ہے جسے چاہے معاف فرمادیتا ہے اور جس نے خدا کا شریک ٹھہرایا اس نے بڑا گناہ کا طوفان باندھا،

{Sure Nisa 48}

Isse Imam Bukhari, Imam Nasai, Ibne Maja, Imam Ahmad bin Hambal, Hakim aur Ibne Rashid ne riwayat kiya Aur ye Lafz Ibne majah ke hai.

{Sahih Bukhari , 6/2707 # 7001
Sunan Nasai , 8/112 # 5010
Sunan Ibn Maaja , 1/23 # 60
Musnad Ahmed ,3/94 # 117
Mustadrak Hakim ,4/626 # 8736}

Post a Comment

0 Comments