Kya *HUZOOR MUSTAFA JAAN-E-RAHMAT صلی اللہ مولی تبارک و تعالی علیہ وآلہ وسلم* Par Kisi Budhiya Ne Kooda Daala?

Kya *HUZOOR MUSTAFA JAAN-E-RAHMAT صلی اللہ مولی تبارک و تعالی علیہ وآلہ وسلم* Par Kisi Budhiya Ne Kooda Daala?

Awaam Ki Zubaano Par Aise Beshumar Waqiyaat Mash'hoor Hain Jinka Kitabo Mein Naam -o- Nishan Nahin Milta... Isi Tarah Ek Riwayat Bayaan Ki Jaati Hai Ke *HUZOOR MUSTAFA JAAN-E-RAHMAT صلی اللہ مولی تبارک و تعالی علیہ وآلہ وسلم* Par Ek Budhiya Rozana Kooda Phenka Karti Thi Lekin *HUZOOR MUSTAFA JAAN-E-RAHMAT صلی اللہ مولی تبارک و تعالی علیہ وآلہ وسلم* Use Kuchh Nahin Kehte The... Phir Uski Tabiyat Kharab Ho Jaati Hai To *HUZOOR MUSTAFA JAAN-E-RAHMAT صلی اللہ مولی تبارک و تعالی علیہ وآلہ وسلم* Uska Haal Puchhne Ke Liye Tashreef Le Jaate Hain Aur Wo Budhiya Ye Akhlaq Dekh Kar Iman Le Aati Hai

Ye Riwayat Sabse Zyada Us Waqt Bayaan Ki Jaati Hai Jab Badmazhabo Ka Radd Kiya Jaata Hai.... Isko Daleel Bana Kar Kaha Jaata Hai Ke Dekho Humare Nabi Ne To Apne Upar Kooda Phenkne Waali Budhiya Ko Bhi Bura Bhala Nahin Kaha Aur Aaj Kalima Padhne Waalo Ko Bura Bhala Kaha Jaata Hai!

Is Riwayat Ke Baare Mein Shaykhul Hadees Wat Tafseer, Ustaazul Ulma, Muhafiz -e- Namoose Risalat, Hazrat Allama Khadim Husain Razvi Sahab Qibla Farmate Hain Ke Aisi Koi Riwayat Nahin Hai
(Speech Is Available On YouTube)

Hazrat Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Alaihi Rehma Ko Kaun Nahin Jaanta, Aapka Mutala Kitna Wasee Tha Ye Baat Aapki Kitabo Ko Padhne Waale Ba Khoobi Samajhte Hain... Aap Rahimahullah Se Sawal Hua Ke Kya *HUZOOR MUSTAFA JAAN-E-RAHMAT صلی اللہ مولی تبارک و تعالی علیہ وآلہ وسلم* Par Ojhdi Daalne Aur Kooda Daalne Ki Riwayaat Sabit Hain? Aapne Irshad Farmaya Ke Ojhdi Daalne Ki Riwayat To Aksar Kutub Mein Maujood Hai, Daalne Waala Ek Tha Aur Is Par Ubharne Waala Abu Jahal Tha Aur Saat Khabeeso Ne Is Par Khushi Ka Izhar Kiya Tha... *HUZOOR MUSTAFA JAAN-E-RAHMAT صلی اللہ مولی تبارک و تعالی علیہ وآلہ وسلم* Ne In Sab Ke Liye Halakat Ki Dua Ki Aur Ye Saato Jung -e- Badar Mein Maare Gaye... Kooda Karkat Daalne Ki Riwayat Is Waqt Yaad Nahin Hai Aur Is Baare Mein Kuchh Nahin Keh Sakta

(ملخصاً: فتاوی شارح بخاری، ج1، ص415، دائرۃ البرکات گھوسی)

Humein Abhi Bhi Israr Nahin Ke Ye Riwayat Mauzu Hai Lekin Jab Iski Koi Asal Nahin Maloom To Phir *HUZOOR MUSTAFA JAAN-E-RAHMAT صلی اللہ مولی تبارک و تعالی علیہ وآلہ وسلم* Ki Taraf Iski Nisbat Durust Nahin


Post a Comment

0 Comments