•°•ƸӜƷ• ALLAH K ILLAWA KISI AUR SEY MADAD MANGNA •ƸӜƷ•°•●

●•°•ƸӜƷ• ALLAH K ILLAWA KISI AUR SEY MADAD MANGNA •ƸӜƷ•°•●

Shetan ka aik khaternak WUSWASA yeh bhi hai k ALLAH jub her cheez deiny per QADIR hai tou kisi aur sey kyun madad mangi jai. Jawab yeh hai k jub ALLAH عزوجل ney kisi gheir ALLAH sey madad talab kerny sey mana he nahi fermaya tou phir kisi ko kya haq pohanchta hai k wo keh dey k kisi aur sey madad nahi mangni chahiyay. Quran-e-Paak main jaga jaga ALLAH عزوجل ney dosron sey madad mangny ki ijazat merhamat fermai hai, bal k her terhan sey Qadir-e-Mutlaq honey k bawajood ALLAH ney khud apny bandon sey madad talab fermai hai, irshad hota hai:

"Ager tum deen-e-Khuda عزوجل ki madad karo gey tou ALLAH عزوجل tumhari madad kary ga".
(Sura Muhammad, Verse:7)

-"Mominoo, neiki aur perheezgari per main aik dosry ki madad karo".
(Sura Maida, Verse:2)

Hazrat Esa علیہ السلام ka Gheir ALLAH sey Madad Mangna:

"Esa علیہ السلام bin Mariyum رضی الله تعالی عنہا ney hawariyon sey kaha tha, kon hai jo ALLAH عزوجل ki taraf ho ker meri madad kary, hawari booley hum deen-e-Khuda ki madad karain gey".
(Sura Al-Saf, V:14)

Neik Bandey Bhi Madadgar hain:

"Tou Beyshak ALLAH inka madadgar hai, aur Jibraeil علیہ السلام aur neik Eman waly aur es k baad farishty Madad per hain".
(Sura Tehreem, V:4)
🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴
Ahadees:

-AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney Hazrat Syedna Ka'ab رضی الله عنہ sey fermaya:"Maango kya mangty ho, Hazrat Ka'ab رضی الله عنہ ney fermaya, JANNAT main aapka sath mangta hon".
(Sahi Muslim, Mishqat ul Misabih, V:1, Pg:156, Published by Maktaba-al-Mishkaat)

-Hadees shareef main irshad hai k:"Jo shaks kisi hajjat ko hafty k din subah ko qabl-e-tuloo-e-aaftab apny gher sey nikley aur mujh sey hajjat talab kary tou eski hajjat poori kerny ka main zimma leita hon.
(Kanzul Aamal, Hadees:221)

-Aik nabeena SAHABI AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat main hazir hua aur apni ankhon ki binai k liay arz ki, AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney SAHABI ko jo dua seekhi wo yeh thi:"Ya RASOOL ALLAH, main aap k zariyay sey ALLAH ki taraf mutawaja hota hon, k aey ALLAH k NABI meri hajjat poori ho".
(Sanan Ibn-e-Maaja, Hadees:336)

-Hazrat Utba Bin Ghazwan رضی الله عنہ sey riwayat hai k AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"Jub tum koi cheez guma betho ya madad ka irada ker lo aur ager tum aisi jaga per ho jahan tumhara koi anees na ho tou es terhan kaho, AEY ALLAH K BANDO MERI MADAD KARO, AEY ALLAH K BANDO MERI MADAD KARO".
(Tibrani Kabeer, Hadees:290)

Ansar Ka Matlab:
Sub sey ahem baat tou yeh hai k jub Musalmanon ney MAKKAH sey Madina hijrat ki tou jo musalman wahan pohanchy wo Muhajir kehlai aur in ki madad kerny waly wahan k loog Ansar kehlai, aur yeh baat kisi bhi ARABIC lughat main search ker li jai k ANSAR ka laghwi meaning hota hai MADADGAR.

Buzurgan-e-Deen Ka Aqeeda:

-Peeran-e-Peer Hazrat Ghaus-e-Azam Sheikh Abdul Qadir Jeelani رحمت اللہ تعالی علیہ fermaty hain:
"Jis ney kisi museebat main mujh sey faryaad ki wo museebat jati rahi, jis ney kisi sakhti main mera naam pukara wo sakhti door ho gai, wo shaks mera naam ley ker mujhy pukarey aur apni Hajat peish kary wo hajat poori hogi".
(Bahta-lil-Asrar-o-Madan-al-Anwar, Page:194)

-Shah Abdul Haq Muhaddis-e-Dehelwi رحمت اللہ تعالی علیہ likhty hain:
"Pukar Hazrat Ali رحمت اللہ تعالی علیہ ko, jin ki zaat mazhar-ul-ajaib hai, tou tu mushkil aur museebat main inhain apna madadgar pai ga, aap رضی الله تعالی عنہ ki wilayat k sadqey hum sey her ranj-o-Ghum door ho jai ga, Ya Ali Ya Ali Ya Ali".
(Al-Intibah Fi Salasil Auliya Allah, Page:138)

Note:
Aakhir main yeh baat Arz kerta chalon k beyshak haqeeqi MADAD kerny wali zaat ALLAH he ki hai, laikin baaqi jo bhi madad kerta hai wo ALLAH ki atta sey kerta hai, ager yeh aqeeda ho k koi bhi madad nahi kerta, tou masjid aur madrasy ka chanda gheir ALLAH sey mangna HARAM, beemari main doctor k paas elaj k liay jana HARAM, kisi doost sey maali madad talab kerna HARAM, bank sey gher banany k liay loan leina HARAM, choori ho jai tou police station ja ker police sey help mangna HARAM, rasta bhatak jain tou kisi ki madad ley k sahi rasta maloom kerna HARAM.
Tou beyshak ALLAH na chahy tou na he koi doctor kisi marz ko theek ker sakta hai aur he koi insan kisi dosrey ki maali yan ikhlaqi madad ker sakta hai, gheir ALLAH jo bhi madad kerta hai ALLAH ki atta sey kerta hai, Hadees-e-Pak main aata hai:

-Hazrat Jabir Bin Abdullah Al-Ansari رضی الله عنہ sey riwayat hai, AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل atta kerta hai aur main bant'ta hon".
(Sahi Bukhari, V:8, Book:73, Number:216)

Tou jo Baant Raha ho, us sey leiny main koi Harj nahi.

🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴
Jawaab->Al-Quran->
Aur jo kuch tumhe Rasool ata farmaye wo lo

(surah Al-hashr ayaat no.7)

Al-Quran-
Aur inhe kya bura laga yehi na k Allah aur Rasool ne inhe apne fazl se gani kar diya

(surah Al-Tauba ayaat no.74)

👆🏽 ye rahi sareeh daleel

pata Chala deo ne Hadith ko samjha hi nahi Jo khilaf e Quran par raazi huwa

Hadith ba hawala darkar hai sharah muhaddisin k Saath

isi liye kaha Gaya hai
ki ilm walo se pucho
Allah bando par usse zyada ka bojh nahi dalta jitna wo utha na sake

Post a Comment

0 Comments