QABR KI JYARAT KARNA KAISA HAI ?

*🌹Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم KA AQEEDA🌹*

*🍀HADEES E MUSTAFAﷺ🍀*

📖Dawood bin Abu Salih رحمة الله عليه​ se riwayat hai,
ek din Marwan aaya aur usne dekha ki ek shaks Rauza-e-AQadas ﷺ ke paas baitha hua hai aur usne *apne muh ko Qabr-e-Anwar MAZAR SHARIF se laga diya hai.* Ye dekhkar Marwan ne usse kaha
"Tumhe pata hai ye tum kya kar rahe ho??"
ye sunkar jab wo Shaks palte to dekha ki wo Sahabi-e-Rasool Hazrat Abu Ayyub Ansari رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه the,
aur unhone jawab diya
"Haan, mai janta hu, aur mai yahan ALLAH ﷻ ke Rasool ﷺ ke paas aaya hu, kisi patthar ke paas nahi aaya. Maine Rasool ﷺ ko kehte hue suna ki Mazhab par mat rona jabki iske Rehbar Qabil ho, haan Mazhab par aansu bahana jabki iske rehbar qabil na ho."

📒[Ahmad bin Hambal with a sound chain of transmissionin his Musnad Volume 017, Page No. 42-43,Hadith Number 23476,

Front Cover Musnad Ahmad bin Hambal, Publish: Dar al-Hadith al-Qahira Misr]

📑Scan Page:

‼Note‼
Is Hadees ko Khud Imam Ahmed Bin Hanbal رحمة الله عليه ne Sahi sanad ke sath bayan kiya.
aur Imam Hakim رحمة الله عليه ne kaha ki Bukhari aur Muslim ki sharto ke mutabiq is Hadees ki tamam Isnaad sahi hain.
Aur Imam Zahbi رحمة الله عليه ne bhi iski Sanad Sahi bayan kiya hai.

سبحان الله

➡1: Is Hadees se Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم ka Aqeeda bhi pata chalta hai ki Rasool Allah ﷺ ki Qabr ke paas Jane ka matlab wo Rasoolullah ﷺ ke qarib jana hi samajhte hain,

➡2: Hazrat Abu Ayyub Ansari رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne apne muh ko Rauza-e-Aqdas ﷺ se laga diya tha, yani bosa liya, سبحان الله

➡3: Qabr-e-Anwar ki Misal kisi patthar ya murti/butt se nahi diya ja sakta, yehi Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم ka Aqeeda hai.

📑Scan Page👇🏻



Post a Comment

0 Comments