MUHARRAM ME KHICHDI PAKANA KAISA HAI ?


 KE DIN KHICHDA PAKANA FARZ YA WAJIB NAHI HAI, LEKIN IS KE HARAM WA NAJAYEZ HONE KI BHI KOI DALEEL E SHARA NAHI BALKI EK RIWAYAT HAI KI KHAS AASHOORE KE DIN KHICHDA PAKANA HAZRAT NOOH ALAIHISSALAM KI SUNNAT HAI ___*

*CHUNACHE MANQOOL HAI KI JAB TUFAAN SE NAJAAT PA KAR HAZRAT NOOH ALAIHISSALAM KI KASHTI JOODI PAHAAD PAR THAHRI TO ☞ AASHOORE KA DIN THA AAP NE KASHTI ME SE TAMAAM ANAJO KO BAHAR NIKALA TO PHOOL ( BADI MATAR ) GEHU, JAW, MASUR, CHANA, CHAWAL, PIYAZ, SAAT QISM KE GALLE MAUJOOD THE AAP NE IN SAATO ANAJO KO EK HI HANDI ME MILAKAR PAKAYA. CHUNANCHE ALLAMA SHAHABUDDIN KALIYUBI NE FARMAYA KI MISR ME JAW KHANA AASHOORA KE DIN ( TABIKHUL HBUB ) KHICHDA KE NAAM SE PAKAYA JATA HAI IS KI ASAL DALEEL YE HAZRAT NOOH ALAIHISSALAM KA AMAL HAI ____*

*📚 JANNATI ZEWAR, SAFA-160*

Post a Comment

0 Comments