JAHNDE LAGANA KAISA HAI ISLAM MAI ?




Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Wiladat Ki Khushi Mein Jhande Lagana Farishto Ke Sardar Jibraeel Alaihis Salam Ki Sunnat Hai.
(Khasaaise Kubra,Jild-1)


Hazrat e Aamina Radiallahu Ta'ala Anha farmati hai K Jab Muhammad Salllahu Alaihi Wasallam Ki Wiladat Hu Us waqt Hazrat Jibrail Alihissslam Ne 3 Jhande Nasab Kiye Ek Magrib Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kabe Ki Chat par.


Is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith Dahelvi Rahamatullah Ahlie Ne Apni Kitab Madarijunnabuwa Jild 2 Me Naqal Kiya Hai.

Hadees Shareef Main Aata Hai Ke Jab Hazrat Muhammad ﷺ Madina Munavvara Main Dakhil Huve Tab Aapke Hath Main Sabz Jhanda Tha.
(Wafa al Wafa, Vol:1, Pg:243)

Hazrat Muhammad ﷺ Ki Paidayish (Birth) Ke Waqt Hazrat Jibraeel Alaihissalam Ne Jhande Garhe
(Khasais Al Qubra, Vol:1, Page:82)

Post a Comment

0 Comments